khud par nahin tuyur ki ab dastaras ki bas masti mein ja rahe hain yun su-e-qafas ki bas khwahish kahan uruj se utri hai zer-e-khak mazbut dur se use is tarah kas ki bas mahka hua wajud hai raushan hai meri khak aise rawan hai phir teri bu-e-nafas ki bas har dam tere khayal ne nila kiya badan sab zahr khinch le mera is tarah das ki bas maktub mein likha hai mujhe ab shifa mile bimar ko ata ho kabhi ek mas ki bas aankhen lahu-luhan thin chehre bhi the malal is tarah didani tha wo sola-baras ki bas ek umr ki thakan se hai jism shal 'nisar' manzur ab nahin mujhe bhang-o-jaras ki bas