khud sawal aap hi jawab hun main zindagi ki khuli kitab hun main yun to ek jura-e-sharab hun main gardish-e-waqt ka jawab hun main justaju-e-sukun-e-dil thi mujhe gharq-e-dariya-e-iztirab hun main meri qimat hai pyar ke do-bol kitne saste mein dastiyab hun main kabhi naghma-taraaz tha main bhi aaj tuta hua rabab hun main ranj gham dard be-kasi hasrat 'mir' ka jaise intikhab hun main kaun mujh par yaqin laega apni nazron mein khud sarab hun main pahle sailab se pareshan tha ab ki mahw-e-talash-e-ab hun main mukhtalif rang hain mere 'abid' kabhi jalwa kabhi hijab hun main