khud se kitna kiya dagha main ne abhi sikhi nahin wafa main ne nikla chuha pahad ko khoda jo kiya jo kaha suna main ne kholiye kyun dukhon ke daftar ko sochna band kar diya main ne han lagaya hai zikr azmat par zor se ek qahqaha main ne hasil-e-zist hai ki dekha hai sumbul-o-sabz-o-saba main ne zindagi zahar tha use suqraat jura jura magar piya main ne chhup ke baitha hun sharmsari se kabe se dur li hai ja main ne ye to tazlil hai shahadat ki kabhi manga na khun-baha main ne jab badhi aur sharm-e-uryani odh li khak ki qaba main ne apne dil ko to si nahin sakta apne honton ko si liya main ne khauf se bhag nikla majlis se jab suna zikr-e-karbala main ne