KHud wo aate agar yaqin hota

khud wo aate agar yaqin hota
dard pursish talab nahin hota

dil to kya jaan tak fida karte
tum sa lekin koi hasin hota

sajda karte hazar bar magar
koi dar laeq-e-jabin hota

is mein shamil jo hota zikr un ka
ye fasana bahut hasin hota

tere wadon pe bhi yaqin karte
hum ko dil par agar yaqin hota

dil pe jab tak na us ke chot aae
aadmi kaam ka nahin hota

baada marghub-e-dil hai talkhi se
zahr hota jo angbin hota

hasti-e-be-sabaat ka 'sahir'
naqsh koi to dil-nashin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close