khuda asar se bachae is aastane ko dua chali hai meri qismat aazmane ko na puchhiye ki mohabbat mein mujh pe kya guzri na chhediye mere bhule hue fasane ko ye shobade ye karishme kise mayassar the teri nigah ne sikhla diye zamane ko chaman mein barq ne jhanka ki hum laraz uthe ab is se aag hi lag jae aashiyane ko khayal-e-yar bhi khoya hua sa rahta hai ab un ki yaad bhi aati hai bhul jaane ko nigah-e-lutf na farma nigah-e-naz ke baad jigar mein aag laga kar na aa bujhane ko zamana bar-sar-e-azar tha magar 'fani' tadap ke hum ne bhi tadpa diya zamane ko