KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain

khuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde dalte hain
ajal ke mare hue kisi se na bolte hain na chaalte hain

zalil hote hain aib hain khud jo aib us mein nikalte hain
unhin ke upar hi khak padti jo chand par khak dalte hain

talawwun-e-aish-o-gham se baham zamin ye nang-e-asman hai
ki munh se hum khun dalte hain wo rang-e-nau-roz uchhaalte hain

na ghar ke manind mah har shab maze udate hain ham-damon se
qarar farda ka roz kar ke hamein qayamat pe talte hain

piye hue hain sharab-e-saqi chadhi hai masti-e-pak-bazi
wo baada-kash mein mudam-e-saqi jo dukht-e-raz ko khangalte hain

mudam barham mizha ke aare saron pe chalte hain aashiqon ke
bana ke gesu-e-mushk-bu ko wo mang jis dam nikalte hain

jala rahe sham-e-bazm sain utha ke pahlu se apne hum ko
raqib ko misl-e-dil baghal mein miyan-e-mahfil bithaalte hain

kisi ko baaton mein hain lagate kisi ko fiqron mein hain udate
kalim se ham-kalam ho kar masih ko dam mein talte hain

bisat-e-ulfat hai wo nirali jahan mein jaan-bakhta khiladi
jua bhi ye but jo khelte hain to dil ki kaudi uchhaalte hain

junun ki bad-namiyan hain jitni hum aap ai 'shad' utha rahe hain
na thonpne kohkan ke sar hain na qais-o-wamiq pe dhaalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close