khuda ka shukr ki sunta raha khuda meri kabhi na arsh se lauti koi dua meri main mangti hun usi se ki wo mera rab hai use pasand hai shayad yahi ada meri chala gaya tha jo wapas palat bhi sakta tha magar gale mein phansi rah gai sada meri shumar hote hain shayad wo sab farishton mein ginate rahte hain jo log har khata meri hayat-o-maut ke aage bhi zindagi hai kahin na ibtida hai meri ye na intiha meri ye waqt-e-naza mera chaaragar samajh paya bas ek lafz mohabbat ka tha dawa meri badal rahi hun musawwir main apne dhundle rang ab ek bar ye taswir phir bana meri hamesha chaha ki sabr-o-raza pe sher kahun hamesha fikr ruki ja ke karbala meri mere imam bhi haq-go rahe sar-e-neza 'hina' alam bhi rahi azm ki rida meri