khuda-malum kis ki chand se taswir mitti ki jo goristan mein hasrat hai gareban-gir mitti ki nawazi sarfaraazi ruh ne taswir mitti ki khusha-tale khusha-qismat khusha-taqdir mitti ki haqiqat mein ajaib-shobada-pardaz-e-duniya hai ki jo insan ki surat tha wo hai taswir mitti ki jise ruya mein dekha tha milaya khak mein us ne muqaddar ne hamare khwab ki tabir mitti ki mazaron mein dikha kar ustukhan hasrat ye kahti hai koi pursan nahin un ka ye hai tauqir mitti ki ye nahaq barhami hai khaksaron ke ghubaron se kharabi aandhiyon ne ki hai be-taqsir mitti ki wo wahshi tha ki mar ke bhi na maidan-e-junun chhuta meri mayyat rahi sahra mein daman-gir mitti ki na li turbat ko gulshan mein jagah li bhi to sahra mein riyazat sab hamari tu ne ai taqdir mitti ki mere sayyaad ne jis jis jagah tuda banaya tha wahan ja ja ke bu lete phire nakhchir mitti ki azal ke roz se ghash hain jo insan khaksari par sarisht un ki hai mitti se ye hai tasir mitti ki ye aalam ho gaya hai jamte jamte gard-e-sahrai ki majnun puchhta hai kya ye hai zanjir mitti ki hamare khak ke tude ko nabud aa ke kar denge nishani bhi na chhodenge tumhaare tir mitti ki ijazat se tumhaari guftugu ki sang-rezo ne barabar sunne walon ne suni taqrir mitti ki gali mein yar ki aise hue ho gard-aluda ki bilkul ho gae ho ai 'sharaf' taswir mitti ki