khuda ne laj rakhi meri be-nawai ki bujha charagh to jugnu ne rahnumai ki tere khayal ne taskhir kar liya hai mujhe ye qaid bhi hai bashaarat bhi hai rihai ki qarib aa na saki koi be-wazu khwahish badan-sarae mein khushbu thi parsai ki mata-e-dard hai dil mein to aankh mein aansu na raushni ki kami hai na raushnai ki ab apne aap ko qatra bhi kah nahin sakta bura kiya jo samundar se aashnai ki use bhi shah ne musahib bana liya apna jis aadmi se tawaqqo thi lab-kushai ki wahi to markazi kirdar hai kahani ka usi pe khatm hai tasir bewafai ki