KHuda taufiq de mujhse kuchh aisa kaam ho jae

khuda taufiq de mujh se kuchh aisa kaam ho jae
ki tere nek bandon mein mera bhi nam ho jae

jo tera ho gaya us ki lagegi kya koi qimat
nazar jis par pade teri wahi be-dam ho jae

mere maula mere haq mein koi aisa karishma kar
saza jo bhi mile mujh ko wahi inam ho jae

khuda ne tere hathon mein ajab tasir bakhshi hai
agar tu zahr bhi chhu le to wo bhi jam ho jae

koi chakkar chala aisa koi tadbir aisi kar
naqab uthne na pae aur jalwa aam ho jae

dabe wo raaz hain dil mein zamane ke khudaon ke
agar lab khol dun apne to qatl-e-am ho jae

tere pahlu mein mere raat-din karwat badalte hain
tere pahlu mein hi meri sahar se sham ho jae

agar parda hata le tu jamal-o-husn ke malik
mariz-e-ishq ko tere zara aaram ho jae

mujhe to tere sajde mein hi apna sar jhukana hai
bala se phir jo hona ho 'kiran' anjam ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close