khudai mujh ko mil jati khuda-e-do-jahan milta jo tum milte to goya hasil-e-kaun-o-makan milta ghulam-e-saqi-e-kausar hun mai ki kya kami mujh ko na milta gar yahan saghar mera hissa wahan milta ise kab koi pa sakta use kya dekhta koi nazar se dur dil ki wusaton mein jo nihan milta unhen kab nind aai sunte sunte dil ka afsana yahi tha waqt jab un ko bhi lutf-e-dastan milta jalati ek bijli kyun-kar itne aashiyanon ko chaman ke patte patte par hamara aashiyan milta hamare sajda-e-be-astan ka ye karishma tha na hota aastan jis ja wahan bhi aastan milta wahan do chaar sajde tum bhi kar lo ja ke ai 'afqar' pae sajda zamin se jis jagah hai aasman milta