khudi gum kar chuka hun ab khushi-o-gham se kya matlab ta'alluq hosh se chhoda to ab 'alam se kya matlab qana’at jis ko hai wo rizq-e-ma-yahtaj par khush hai samajh jis ko hai us ko bahs-e-besh-o-kam se kya matlab jise marna na ho wo hashr tak ki fikr mein uljhe badalti hai agar duniya to badle hum se kya matlab meri fitrat mein masti hai haqiqat-bin hai dil mera mujhe saqi ki kya hajat hai jam-o-jam se kya matlab khud apni rish mein uljhe hue hain hazrat-e-wa'iz bhala un ko buton ke gesu-e-pur-kham se kya matlab nai ta’lim ko kya wasta hai aadamiyyat se janab-e-darwin ko hazrat-e-adam se kya matlab sada-e-sarmadi se mast rahta hun sada 'akbar' mujhe naghmon ki kya parwa mujhe sargam se kya matlab