KHudi ko bhul kar maine kise mahbub tha jaana

khudi ko bhul kar main ne kise mahbub tha jaana
mohabbat ke jo laeq hai wo hasti mein na pahchana

ki jis ko ishq kahte hain koi qabil nahin us ke
bhala jaana to bas ishq-e-haqiqi ko bhala jaana

kahin farhad shirin the kahin laila kahin tha qais
anal-haq kyon kaha mansur ne koi bhi na jaana

bhula kar zat wo jis ko hi hai bas ikhtiyar-e-kun
firauni zat ke logon ne khud ko hi khuda jaana

kudurat se bhare dil hain magar dawe mohabbat ke
so aise buz-dilon ke dil ko nafrat ka qila jaana

ye hanste chehre dhoka hain ye khushiyon ki banawat hain
shahr aabaad dikhte hain haqiqat mein hai virana

bahakna us ko kahte hain to saqi aur de mujh ko
haq-o-baatil jo samjha de bhale ho kyon na mai-khana

nafi kar zat ki 'atir' ki sauda bhi nafe' ka hai
jo paya wo hi afzal hai jo khoya wo bhi pahchana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close