khule dilon se mile fasla bhi rakhte rahe tamam umr ajab log mujh se uljhe rahe hanut titliyan show-case mein nazar aain sharir bachche gharon mein bhi sahme sahme rahe ab aaina bhi mizajon ki baat karta hai bikhar gae hain wo chehre jo aks bante rahe main aane wale dinon ki zaban jaanta tha isi liye meri ghazlon mein phul khilte rahe darakht kat gaya lekin wo rabte 'nasir' tamam raat parinde zamin pe baithe rahe