khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzar

khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzar
magar khizan ko mayassar nahin yaqin-e-bahaar

khabar nahin hai bamon ke banane walon ko
tamiz ho to mah-o-mehr-o-kahkashan hain shikar

usi se tegh-e-nigah aab-dar hoti hai
tujhe bataun badi shai hai jurat-e-inkar

kiye hain shauq ne paida hazar virane
ek aarzu ne basae hain lakh shahr-e-dayar

nashat-e-subh-e-bahaaran tujhe nasib nahin
tere nigah mein hai biti hui shabon ka khumar

farokht hoti hai insaniyat si jins-e-giran
jahan ko phunk na degi ye garmi-e-bazar

yahi hai zinat-o-araish urus-e-sukhan
magar fareb bhi deti hai shokhi-e-guftar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close