khulega naKHun-e-shamshir se uqda mere dil ka

khulega nakhun-e-shamshir se uqda mere dil ka
kisi qatil se hai aasan hona meri mushkil ka

pas-e-murdan bhi ye manzur hai nazzara qatil ka
charagh-e-gor mein aalam hua hai chashm-e-bismil ka

ghubar-e-dahr se ek lahza bhi khali nahin hota
ilahi shisha-e-saat hai kya shisha mere dil ka

yahi gar zindagi bhar tab-e-ali ka raha aalam
banega mar gae par aasman daswan mere gil ka

na tode rishta-e-dam aur apna yar dam tode
hai behtar is bhadakne se tadapna tair-e-dil ka

jahan mein kaamilon ko qadr hai hum khaksaron ki
shikast-e-dil-gada ko tutna hai saghar-e-gul ka

ajab hai ru-e-jaanan par na hona ek bhi til ka
adam karta nahin taron ko jalwa mah-e-kaamil ka

qayamat laega gulzar mein nala anadil ka
jagana fitna-e-khwabida hai sayyaad-e-ghafil ka

main majnun dekhte hi mar gaya is rashk-e-laila ko
kafan ke waste goya phata tha parda mahmil ka

kiya labrez-e-marwarid chashm-e-gauhar afshan se
guman guzra jo dariya par mujhe daman-e-sahil ka

mera khwab-ul-aziz o ghairat-e-khwab-e-zulekha hai
tasawwur raat bhar tha mujh ko ek yusuf-shamail ka

main aisa na-tawan hun sar uthana mujh ko mushkil ho
bara-e-tauq gardan chahiye chhalla anamil ka

kafan misl-e-katan hai tukde tukde 'arsh' madfan mein
tasawwur mar gae par bhi hai ye us mah-e-kaamil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close