khuli khiDki se din bhar jhankta hun

khuli khidki se din bhar jhankta hun
main har chehre mein tujh ko dhundhta hun

tujhe main kis tarah pahchan paun
ki apne aap se na-ashna hun

jahan insan patthar ho chuke hain
main us basti mein kaise ji raha hun

jahan se kal mujhe kata gaya tha
wahin se aaj main phir ug raha hun

main is sangin sannate mein 'qaem'
kisi tufan ki aahat sun raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close