khulus apna liye milte hain fankari nahin karte hum apne doston ke sath makkari nahin karte luta dete hain jaan-o-dil mohabbat karne walon par kabhi hum jazb-e-ulfat ki kharidari nahin karte jinhen aadat hai girgit ki tarah rangat badalne ki wo apne doston se bhi wafadari nahin karte hamara sar kabhi jhukta nahin hai ghair ke aage kabhi hum ikhtiyar andaz-e-darbari nahin karte hamesha jhut se ladta raha hun main tan-e-tanha jo sachche log hain meri taraf-dari nahin karte lahu de kar jise shadab karna apna maslak hai hum apne desh ki mitti se ghaddari nahin karte matanat se 'said' apni ghazal ko pesh karte hain adakari nahin aati adakari nahin karte