KHun bahane ka bahana hai bhala mere baad

khun bahane ka bahana hai bhala mere baad
tin din pan bhi khana na zara mere baad

fatiha padh ke wo rone jo laga mere baad
shor-e-mahshar mere madfan pe utha mere baad

dil-e-ahbab na madfan pe jala misl-e-charagh
phir gai aisi zamane ki hawa mere baad

qabr ko takiya-e-aghosh bana kar baitha
mere qatil ka kahin dil na laga mere baad

karwan mein pas-o-pesh ek hai manzil sab ki
ho gai rehlat-e-har-shah-o-gada mere baad

tukde hoga mere gham mein sar-e-saghar saqi
kat dalegi surahi bhi gala mere baad

na raha bulbul o parwana ko ishq-e-gul-o-shama
nam ko bhi koi aashiq na raha mere baad

us sa mashuq jahan mein koi mujh sa aashiq
'arsh' aage na hua tha na hua mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close