KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len

khun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len
mo'atabar aur bhi hum jashn-e-gulistan kar len

daur par daur chale jam ko raqsan kar len
doston aao ilaj-e-gham-e-dauran kar len

ek nae rang se tazin-e-gulistan kar len
lakh ho daur-e-khizan jashn-e-bahaaran kar len

phir na chhat jaen kahin ranj-o-mehan ke baadal
apni zulfon ko zara aap pareshan kar len

shama phir hasrat-o-arman ki raushan kar ke
chand lamhon ko sahi jashn-e-charaghan kar len

justuju aur nai bahr-e-husul-e-manzil
apni raftar su-e-khar-e-mughilan kar len

gham-e-dauran ko ai 'jaanbaz' bhulane ke liye
aao maikhane mein tafrih ka saman kar len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close