KHun jab ashk mein Dhalta hai ghazal hoti hai

khun jab ashk mein dhalta hai ghazal hoti hai
jab bhi dil rang badalta hai ghazal hoti hai

tere ikhlas-e-sitam hi ka ise faiz kahen
munjamid dard pighalta hai ghazal hoti hai

dil ko garmati hai ashkon ke sitaron ki kiran
jab diya sham ka jalta hai ghazal hoti hai

sher hota hai shafaq mein jo hina rachti hai
lala jab khun ugalta hai ghazal hoti hai

khushk soton ko jagate hain payambar ke qadam
ret se chashma ubalta hai ghazal hoti hai

apne sine ke mina mein bhi tah-e-khanjar-e-ishq
jab koi fidya badalta hai ghazal hoti hai

fikr aa jati hai tarsil ke suraj ke tale
jab koi saya nikalta hai ghazal hoti hai

dawat-e-pursish-e-ahwal hai yaron se kaho
dariya jab aankhon ka chadhta hai ghazal hoti hai

jazba-o-fikr ke khamosh samundar ke tale
jab bhi tufan machalta hai ghazal hoti hai

mehrban hota hai jab jaan mohabbat 'tarzi'
dil-e-bimar sambhalta hai ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close