KHun ke dariya bah jate hain KHair aur KHair ke bich

khun ke dariya bah jate hain khair aur khair ke bich
apne-ap mein sab sachche hain masjid o dair ke bich

lag ho ya ki lagan ho donon ek diye ki lawen
ek hi raushni lahraati hai pyar aur bair ke bich

dil mein dhup khile to andhere chhat jate hain aap
ab hum farq rawa nahin rakhte yar aur ghair ke bich

soch-samajh sab sach hai lekin dil ki baat hai aur
dur thi yun to aankh bhanwar ki pahuncha tair ke bich

jate ho pa qadam uthne se pahle dhyan rahe
umr ka fasla ho sakta hai pair aur pair ke bich

dekhti aankh 'ziya' hairan hai dekh ke dahr ke rang
pal ki pal mein badal jate hain manzar sair ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close