khun kis kis ka hua sadqe teri talwar par fasl-e-gul dhabbe hain lakhon daman-e-gulzar par ab raha dil ta-qayamat abru-e-kham-dar par kya hatega wo jo gardan rakh chuka talwar par fasl-e-gul rukhsat hui ro lijiye gulzar par bas yahi do-tin pankhudiyan hain ya do-chaar par wasl-e-furqat ki shaben donon mein nind aati nahin hans raha hun ro raha hun tala-e-bedar par intiha par ishq aa kar ho gaya hai ain husn maut ki bhi aankh padti hai tere bimar par wasl se mayus ho kar kaam mera ban gaya saikdon iqrar sadqe ho gae inkar par main nahin lakhon pade hain mud ke pichhe dekhiye naqsh-e-pa ghash kha gae hain shokhi-e-raftar par dagh walon ke nasheman shab ko bhi chhupte nahin dhup si phaili hui hai bagh ki diwar par gardanen wo kham kiye hain jin ke sar hain bar-e-khun tu agar khud-bin nahin dal ek nazar talwar par ashk-rezan-e-chaman se khanda-e-gul dab gaya os padti hai nai har shab sar-e-gulzar par ek ek rag de rahi hai lau wufur-e-soz se naz hai 'saqib' ko apne khilat-e-zar-tar par