khun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge zindagani ko barahna-sar kahan le jaoge aa gae ahkaam-e-nawwab bolna mamnua hai tum sukhnawar lab-e-gustar kahan le jaoge tut jaenge zawabit chikh utthega zamir dur nazron se har ek manzar kahan le jaoge tark-e-aula ki saza ye pattharon ka shahr hai ab bhala ye kanch ka paikar kahan le jaoge shauq ke pur-pech raste aur anasir sang-e-mil gar utha bhi lo to ye patthar kahan le jaoge aagahi ka rizq kab malta hai aur kis samt se kasa-e-zauq-e-nazar dar dar kahan le jaoge hijr ki shab ka hai ye pichhla pahar utho 'shahab' ro chuke shab bhar ye chashm-tar kahan le jaoge