KHush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar

khush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar
gham hua mujh ko yun gham ki tarjumani dekh kar

jo guzarti ja rahi hai nam us ka umr hai
zindagi hairan hai is ki rawani dekh kar

hae is sayyaad ne diwar ranwa di ajib
ud rahe hain sare panchhi aasmani dekh kar

jugnuon ne aaj dawat par bulaya chand ko
chand shab bhar timtimaya mezbani dekh kar

aankhen meri thin labaalab gard ka pahra tha yan
wo ye samjha dhoka hai sahra mein pani dekh kar

kya maza gar ishq mein thodi bahut duri na ho
us ne khud se ye kaha meri nishani dekh kar

ek to dil shairana aur phir majruh bhi
chain mujh ko aaega bas baghbani dekh kar

mutthiyon mein khak le kar aa gae hain sab ke sab
kar do mujh ko dafn meri be-makani dekh kar

wo mohabbat ke maani bas batata hi raha
ishq phir jata raha dasht-e-maani dekh kar

raaz thode aao kholen us khuda ke muntazir
is zamin par aasman ki hukmarani dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close