khush hun kab dil ki dastan kah kar kya milega yahan wahan kah kar mani kya de diye hain lafzon ko dastan-go ne dastan kah kar wusat-e-be-karan ko hum hi ne sar chadhaya hai aasman kah kar hum ne sach-much guman bana dala har yaqin ko guman guman kah kar main ne rutba diya hai sheron ko dil-e-hassas ka dhuan kah kar