khush-kun nazar fareb sa manzar bhi aaega chal aur thodi dur tera ghar bhi aaega hoga ye hadisa bhi kabhi mere shahr mein aaina-gar ke hath mein patthar bhi aaega kyon ishtial rakhta hai lamhon ki kokh mein patthar ke phir jawab mein khanjar bhi aaega pani mein kaun kitne hai sab ki mujhe khabar majbur gar karoge to lab par bhi aaega boya hai nur main ne andheron mein raat ke nikla wo chand ban ke mere ghar bhi aaega taron ne bar bar mujhe din tasalliyan wo chand hai to raat ko chhat par bhi aaega wo aarzu wo shauq wo chahat nahin rahi ilzam ek din ye mere sar bhi aaega ja to raha hai ret mein kushti ko chhod ke sahra ko par karke samundar bhi aaega yaad-e-khizan mein zikr kiye ja bahaar ka lutf-e-bahaar kuchh mujhe sun kar bhi aaega 'mohsin' mein tirgi mein use kyon pukarta suraj hai wo to raushni le kar bhi aaega