khush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte hum wo kahil hain jo itna bhi nahin kar sakte wo sunate hain rihai ke farize sab ko jo riha ek parinda bhi nahin kar sakte kitne majbur hain hum aam si shaklon wale khud ko ijad dobara bhi nahin kar sakte chahte hain jise dushman ki nawasi nikli ab to hum ishq adhura bhi nahin kar sakte is liye banta nahin tanz tamashe pe mere yan to kuchh log tamasha bhi nahin kar sakte jism sanso ki sitamgar rawana se miyan aisa bikhra hai ikattha bhi nahin kar sakte