khush nahin aae bayaban meri virani ko ghar bada chahiye is be-sar-o-samani ko dhaal dun chashma-e-pur-harf ko aaine mein apni aawaz mein rakh dun teri hairani ko jada-e-nur ko thokar pe sajata hua main dekhta rahta hun rangon ki pur-afshani ko sar-e-sahra meri aankhon ka talatum jaga mauja-e-reg ne sarshaar kiya pani ko sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai jis ne tabinda rakha hai meri peshani ko tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki tu bhi mutthi mein kahan bhench saka pani ko sard mausam ne thithurte hue suraj se kaha chadar-e-abr to hai dhanp le uryani ko 'shahryar' apne kharabe pe hukumat hai meri koi mujh sa ho to samjhe meri sultani ko