khush-rang kis qadar khas-o-khashak the kabhi zarre bhi zeb-o-zinat-e-aflak the kabhi ab dhundte hain rah-e-takhatub ke silsile kya hum wahi hain tum se jo bebak the kabhi go de sake na soz-e-darun ka hamare sath ye dida-ha-e-khushk bhi namnak the kabhi kuchh aur bhi aziz hui hain nishaniyan daman wo tar tar hain jo chaak the kabhi hum ne junun se pahle kiya tha tumhein pasand achchha to hum bhi sahab-e-idrak the kabhi ab dhup hai ki chhanw mile umr ho gai mausam mizaj-e-dost ke chaalak the kabhi