khusha-nasib ki hai dil mein aarzu teri masham-e-jaan hai moattar basi hai bu teri wo aur honge jinhen hai najat ki khwahish shahid-e-husn-e-azal ko hai aarzu teri gharaz har ek ko tera hi khosha-chin paya gulon ne rang udaya saba ne bu teri tere jamal ka kuchh aisa roab tari tha saba bhi chhu na saki zulf-e-mushkbu teri fareb-khurda-e-diwar-o-dar nahin 'nashad' kare wo dair mein kyon ja ke justuju teri