khushbu-e-gul se jahan sairab tha kaliyon ka dil jaane kyun betab tha zindagi sa zindagi jine ka shauq shab ka saya ya sahar ka khwab tha dil ki kashti par lagti kis tarah hausla manjhi ka gharq-e-ab tha umr bhar thokar ki zad mein hi raha phir bhi dil to gauhar-e-nayab tha muskura kar khil utha sahra mein bhi khanda-zan ghuncha ajab shadab tha justuju mein jis ki 'uzma' mit gai us mohabbat ka nasha kam-yab tha