KHushbu ko rangton pe ubharta hua bhi dekh

khushbu ko rangton pe ubharta hua bhi dekh
naqsh-e-zar-e-bahaar chamakta hua bhi dekh

rakh ke madar-e-shauq kisi aaftab par
tu sang-e-intizar pighalta hua bhi dekh

aankhon ke gird jhankte halqe na dekh tu
sail-e-khajista-khu ko utarta hua bhi dekh

be-faiz dasht-e-dard mein aahistagi ke sath
aahu-sarisht logon ko chalta hua bhi dekh

rang-e-hina ko naqsh-e-qadam se juda bhi kar
sahra mein rakhsh-e-shauq ko girta hua bhi bhi dekh

mahsus kar chhalakte hue shauq ki jalan
yakh chandni mein jism ko jalta hua bhi dekh

har chiz de ke jati hai apni nishaniyan
har gul mein rang-e-subh jhalakta hua bhi dekh

'nahid' chira-e-dasti-e-yaran aziz rakh
mauqe ke sath un ko badalta hua bhi dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close