KHushbu sa koi din to sitara si koi sham

khushbu sa koi din to sitara si koi sham
bhejo to kabhi nur ka dhaara si koi sham

poron se nikal kar ye kahan jati hai jaane
aati hi nahin hath mein para si koi sham

yaadon ki hawaon mein bada zor tha shayad
hai bikhri padi panw mein gara si koi sham

rahti hai mere kamre mein kui tera udasi
ai shoala badan bhej sharara si koi sham

is din ke samundar mein jo shal hote hain bazu
aflak se aati hai kinara si koi sham

hum roz hi dafnate hain bujhta hua suraj
phir dhundne jate hain sahaara si koi sham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close