khushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se hamari zindagi ka ek hi aalam hai barson se sitam hai aansuon ka ponchhne wala nahin koi hamari aankh bhi tar aastin bhi nam hai barson se wazahat chahta hun tujh se tere is ishaare ki jo paiham meri jaanib hai magar mubham hai barson se rahe hum sath bhi barson tere kahlae bhi lekin tujhe apna na pae ye khalish ye gham hai barson se kisi se muddaa-e-dil kaha ho to zaban kat jae bas ek tu hai jo dil ke raaz ka mahram hai barson se hamari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas ye shiraaza bhi dekha jae to barham hai barson se khushi hai ai 'waqar' ab aur na arman-e-khushi baqi agar kuchh hai to bas aasudgi-e-gham hai barson se