khushi hai sab ko ki operation mein khub nishtar ye chal raha hai kisi ko is ki khabar nahin hai mariz ka dam nikal raha hai fana isi rang par hai qaim falak wahi chaal chal raha hai shikasta o muntashir hai wo kal jo aaj sanche mein dhal raha hai ye dekhte ho jo kasa-e-sar ghurur-e-ghaflat se kal tha mamlu yahi badan naz se pala tha jo aaj mitti mein gal raha hai samajh ho jis ki baligh samjhe nazar ho jis ki wasia dekhe abhi yahan khak bhi udegi jahan ye qulzum ubal raha hai kahan ka sharqi kahan ka gharbi tamam dukh sukh hai ye masawi yahan bhi ek ba-murad khush hai wahan bhi ek gham se jal raha hai uruj-e-qaumi zawal-e-qaumi khuda ki qudrat ke hain karishme hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai maza hai speech ka dinner mein khabar ye chhapti hai pioneer mein falak ki gardish ke sath hi sath kaam yaron ka chal raha hai