khushi ke aansuon se dard ka rishta nahin rahta jahan pyase nahin rahte wahan dariya nahin rahta zamana dhundhta phirta hai jis ko chand taron mein wo mere dil mein rahta hai wo be-parda nahin rahta umidon ke sitare jhilmila kar dub jate hain nazar ke samne jab chand sa chehra nahin rahta na jaane kitni taswiren bigadti hain ubharti hain kabhi fursat mein apne dil ka aaina nahin rahta wo patjhad ka zamana ho ya wo sawan ki raaten hon mariz-e-dil kisi mausam mein bhi achchha nahin rahta