KHushi ke mauqe par unki kami achchhi nahin lagti

khushi ke mauqe par un ki kami achchhi nahin lagti
azizon ke bina koi khushi achchhi nahin lagti

adawat dushmani nafrat hasad insan ki fitrat hai
magar shiddat kisi bhi baat ki achchhi nahin lagti

kisi ke waste jab bad-gumani dil mein aa jae
to achchhi baat bhi us ki kabhi achchhi nahin lagti

salimuttaba fitrat di hai qudrat ne jinhen un ko
kisi bebas ki aankhon mein nami achchhi nahin lagti

ye kaisa daur-e-be-kaifi hai 'shaarid' zindagani ka
ki tyauhaaron pe bhi ab raushni achchhi nahin lagti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close