khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur tumhaari baat aur hai hamari baat aur koi agar jafa kare nahin hai kuchh gila mujhe kisi ki baat aur hai tumhaari baat aur huzur sun bhi lijiye chhod kar ke jaiye zara si baat aur hai zara si baat aur qita rubai aur nazm khub-tar sahih magar ghazal ki baat aur hai ghazal ki baat aur zaban se 'taban' mat kaho nazar se iltija karo zaban ki baat aur hai nazar ki baat aur