khushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun zamin-o-asman ka tarz-dan hun main apni be-nishani ka nishan hun hujum-e-matam-e-umr-e-rawan hun tere jate hi meri zist tohmat nahin milta pata apna kahan hun ghubar-e-karwan-e-mor hai zist ye khatt-e-yar se aashufta-jaan hun nahin kuchh kaam bakht-o-asman se main nakaami mein apni kaamran hun nahin dam marne ka dam aur us par sarapa shama san shakl-e-zaban hun khuda hi gar na de mashuq-o-mai ko to kyun phir mohtasib se sargiran hun wahan ka rang-e-parran aasman hai main jis aalam ki taswir-e-guman hun koi aawara mil jae to puchhun kidhar se aaya hun jata kahan hun nikal jata hai ji har aarzu par pae-khun-e-jawani mein jawan hun mera gham ishrat-e-rafta ka naghma ki misl-e-gard bu-e-karwan hun kawakib-ha-e-qismat aasman par na hun kyun nukta-chin main nukta-dan hun 'qalaq' be-raunaqi raunaq hai meri bahaar-e-umr-e-hasti ki khizan hun