khushi mile na mile gham se pyar karte hain wafa ki rah se hum is tarah guzarte hain hamein khabar hai tera lautna nahin mumkin magar hum ab bhi tera intizar karte hain safine daman-e-sahil mein dub jate hain jo hausla ho to tufan mein bhi ubharte hain main aaina hun haqiqat ka zehn ka dil ka agar main samne aaun to log darte hain sharab-khane ka rasta bada muqaddas hai janab-e-shaikh bhi is rah se guzarte hain gulon ke zakhm bharen kaise ashk-e-'shabnam' se gulon ke zakhm to khun-e-jigar se bharte hain