KHushi mili to bahut hi udas baiThe rahe

khushi mili to bahut hi udas baithe rahe
chala gaya wo to hum us ke pas baithe rahe

jamal-e-yar ki lazzat bayan kya karte
nazar mein shauq badan mein hiras baithe rahe

barahnagi hi kuchh aisi thi shahr-e-ghurbat ki
qaba pahan ke bhi hum be-libas baithe rahe

ye waqia meri aankhon ke samne ka hai
sharab nach rahi thi gilas baithe rahe

isi ko husn-e-nazar ka kamal kahte hain
tamam shab tere lazzat-shanas baithe rahe

thahar thahar ke wo dariya bula raha tha 'qais'
hum apni aankhon mein bhar bhar ke pyas baithe rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close