khushiyon ka rasta go bada mukhtasar raha hai lekin ye dukh sada se mera ham-safar raha hai us ki ada pe shayad rone lage falak bhi wadon se apne kaise ab wo mukar raha hai kaisi bahaar hai ye kaisa hai wasl-e-mausam tahni se tut kar jo rah mein bikhar raha hai wo ja chuka hai to phir us se gila bhi kyunkar kab sath is jahan koi umr bhar raha hai khushbu ki aur khushi ki ummid kya karen ab jab aandhiyon ki zad mein dil ka nagar raha hai dil khol kar hain barsin phir se hamari aankhen 'shahin' hijr-e-mausam phir se nikhar raha hai