KHushk aangan mein thi nami laDki

khushk aangan mein thi nami ladki
umr bhar sochti rahi ladki

us ki sirat pe koi bhi na gaya
suratan sanwli si thi ladki

us ke andar ka mard jag utha
jab bhi tanhai mein mili ladki

kachche raston se aashna kab thi
barishon mein dhuli hui ladki

wo to manzil ko pa chuka hoga
raston mein bikhar gai ladki

wo jo sab ko fareb deta tha
us ko phir mil gai nai ladki

dekh lena ye waqt badlega
khud ko manwae gi yahi ladki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close