khushk aankhon ko tar kiya jae barishon mein safar kiya jae tum milo to kisi bahane se zindagi ko basar kiya jae tham li jae khwab ki zanjir raat ko be-sahar kiya jae yaad karna tujhe bhula dena bas yahi umr-bhar kiya jae be-khabar hai jo ek zamane se kyon use ba-khabar kiya jae itni tanhai hai udasi hai yaad tujh ko agar kiya jae