khushk patta hai to hawa se dar zard mausam ki bad-dua se dar har amal ka muhasba kar le pas aati hui qaza se dar nek-karon mein nam ho tera apne har kaj mein riya se dar sar pe dastar jab salamat hai dil mein aati hui ana se dar shahr viran ho gaya 'asghar' sansanati hui hawa se dar