khwab dekhun ki ratjage dekhun wahi gesu khule khule dekhun rang aahang raushni khushbu ghatte badhte se daere dekhun kyun na dekhun main roz-o-shab apne kyun pahadon ke silsile dekhun main sami-o-basir hun aisa sunun aansu to qahqahe dekhun haal ek lamha-e-gurezan hai mud ke dekhun ki samne dekhun tujh ko chhune badhun to apne hath pattharon mein dabe hue dekhun mera chehra bhi ab nahin mera ab kin aankhon se main tujhe dekhun