khwab ka chehra pila padte dekha hai ek tabir ko suli chadhte dekha hai ek taswir jo aaine mein dekhi thi us ka ek ek naqsh bigadte dekha hai subh se le kar sham talak un aankhon ne apne hi sae ko badhte dekha hai us se haal chhupana to hai na-mumkin hum ne us ko aankhen padhte dekha hai ashk-e-rawan rakhna hi achchha hai warna talabon ka pani sadte dekha hai ek ummid ko hum ne akasr khalwat mein ek adhuri murat gadhte dekha hai dil mein koi hai jis ko akasr hum ne har ilzam hamin par madhte dekha hai