khwab ka khwab haqiqat ki haqiqat samjhen ye samajhna hai to phir pahle tariqat samjhen main jawaban bhi jinhen gali nahin deta wo log meri jaanib se ise khas mohabbat samjhen main to mar kar bhi na bechunga kabhi yar ka nam aap tajir hain numaish ko ibaadat samjhen main kisi beach ke raste se nahin pahuncha yahan hasidon se ye guzarish hai riyazat samjhen mera be-sakhta-pan un ke liye khatra hai sakhta log mujhe kyun na musibat samjhen facebook waqt agar de to ye pyare bachche apne khamosh buzurgon ki shikayat samjhen pesh karta hun main khud apni giraftari 'ali' un se kahna ki mujhe zer-e-hirasat samjhen