khwab-nagar ke shahzade ne aise bhi nirwan liya chand sajaya aankhon mein aur raat ko sar par tan liya duniya-dari khel-tamasha ishq-o-mohabbat rahat-e-jaan aag mein apni jal kar hum ne ban bargad ye gyan liya wo aankhen hi aisi thin hum dub gae anjaane mein jaan ke kis ne tuti-phuti kashti mein tufan liya kaun sa parda hum se tha tum dil ki baaten kah sakte the muft mein tum ne baat badhai ghairon ka ehsan liya hirs-o-hawas ka daur hai is mein bikte hain sab rishte-nate jaan pe apni kyun kar tum ne auron ka bohtan liya waqif kab tha pyar se pahle lekin 'zakir' pyar ke baad qismat rekha husn-o-ada aur naz-o-jafa sab jaan liya